Translate

Tuesday, April 26, 2016

Aasaan hai!

Kisi ka dil dukha kar, maafi maang lena...  Aasaan hai
Kisi ko thokar maar kar, hath badha dena... Aasaan hai
Kisi ko aansu de kar, khush rehne ki dua dena... Aasaan hai
Kisi ko zakhm de kar marham lagana bhi... Aasaan hai
Kisi ko apna bana kar, paraya kar dena... Aasaan hai
Insaano k beech reh kar, Insaniyat ko bhool jana... Aasaan hai
Khamoshi ko shor se dabana... Aasaan hai
Kuch zaruri shabdoN ko khamoshi se kuchal dena bhi... Aasaan hai



Mushkil hai... kisi ko taklif mein sahara dena
Mushkil hai... Kisi ko khushi k aansu dena
Mushkil hai... Kisi paraye ko apna banana
Mushkil hai... kisi apne ka har haal mein sath nibhana
Mushkil hai... kisi tanha dil ko behlana
Mushkil hai... kisi ki khamosh Zuban padh pana
Insaniyat ko zinda rakh pana ... Mushkil hai 

No comments:

Post a Comment